Hamara Rishta




Ajeeb hai ye mera uska rishta
saath hoker bhi saath kabhi ho na sake
Ek rah sari umar chale ,
ek duuje ko par samaj na sake ,
jiwan ka safaar anjan safar ,
be khawahish be aarman safar ,
jivan ke kisi bhi sukh dukh main ,
wo mere sath sharik nahi ,
ham dono main ek rishta hai ,
par jazbon main tehrik nahi ,
hai jari magar anjaan safar ,
Badal aate hain har saal magar
Na jaane kahan barastey hain
main sochti hu ki ek din yun hi ,
wo mujhse juda ho jayega ,
pehle main mar jaoungi
 ya shaayd woh mar jayege ,
phir log kahenge ki unka
rishta kitna sachha tha ,
par kisko khabar sara jeevan ,
woh tanha tha ..main tanha thiii…………………..!